Sath Phero Se Kam Tawaf Karna Kaisa Hai

Agarche Tawaf Nafl Ho?

Jawab:

Tawaf Agarche nafl ho usme yah baatein haraam hai.

1) Be-Wazu Tawaf karna

2) Koyi Ujw (Ang ) jo satr mein daakhil hai uska Chuthai 1/4 hissa khula hona.

Maslan Raan, Ya Aurat ka kaan, Ya Kalai wagairah.

3) Bagair majburi ke sawari ya kisi ki goad mein, ya kandho par tawaaf karna.

4) Bila ujr baith kar sarkna, ya ghutno ke bal chalna.

5) Kaaba ko dahine (Right) hath par lekar ulta tawaf karna.

6) Tawaf mein hatim ke andar ho kar gujrna.

7) Sath phero se kam karna.

Bahare shariat Hissa 06 Safa 643,64

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love