BaWazu Sayee karna Kaisa Hai? Sayee Ka Tariqa

Mas’Ala: Mustahab Yah hai ki BaWazu Sayee karein Aur Kapda bhi paak ho Aur Badan Bhi Har Kism ki najasat (Napaaki) se paak ho Aur Sayee Shuru karte waqt Niyat karle.

Ek Jaruri Nasihat: Baaz Aurato ko Main ne Dekha Hai ki Niyat Be-baaki se Sayee karti hai ki Unki Kalaiyaan Aur Gala khuka Rahta hai Aur Yah Khayaal Nahi ki Makka-E-Mu’Azzama mein Ma’Siyat (Gunah) karna Nihayat sakhat Baat hai ki Yahaan Jis Tarah 1 Neki 1 laakh ke Barabar hai.

Yoonhi 1 Gunah Lakh ke Barabar.

Balki Ka’aba E Muazzama ke Samne bhi Yah Jahil Aurate Isi Halat se Rahti Hai.

Balki Isi Halat mein Tawaf karte Dekha hai.

Haalanki Tawaf mein Satr ka Chupana Hamesha Farz Hone ke Alawa Wajib Bhi Hai.

To Farz Dusre waajib ke Tarq se do gunah kiye wah bhi kaha Baitullah ke Saamne Aur Khaas Tawaf ki Halat me.

Balki Baaz Be Haya Auratein Tawaf karne me Khususan Hazre Aswad ko Bosa dene mein mardo mein Ghus jaati hai.

Unka Badan mardo ke badan se mas hota Rahat hai.nnMagar Unko Iski Kuch parwah nahi.

Halaanki Tawaf Ya Bosa-e-hazre Aswad wagaira huma sawab ke liye kiya jaata hai.

Magar wah Be-Gairat Auratein Sawab ke Badle Gunah mool leti hai.

Lehaza in baaton ki Taraf Haajiyoon ko khususiyat ke saath Tawajjoh karni Chahiye Aur unke Saath jo Auratein Ho.

Sakhti ke Saath Aisi harkato se mana karna chahiye warna khud mard bhi gunahgaar honge.

Bahare shariyat Hissa 06 Safa 61,62

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love