Hume Kisi Imam Ki Galat Harkat Ka Pata Hai

Par Hum Yeh Mann Le Ki Inki Karni Inke Sath ALLAH Jane Or Yeh Or Dil Mein Us Imam Se Koi Bugz Naho.

Matlab Woh Hamare Paas Aaye Toh Hum Bilkul Bhi Zarra Brabar Nafrat Yah Galat Khyal Us Imam Ke Barein Mein Naho.

Matlab Koi Bugz Nahi Bus Yeh Kehde Inke Amal Inke Sath.

Toh Is Case Mein Namaz Hogi Ki Nahi?

Jawab:

Agar Imam Sahab Ki Woh Harkat Gunaah E Kabeerah Hai.

Ya Gunaah E Sageerah Aur Use Alal Elaan Baar Baar Karte Hain Aur Aas Paas Ke Kaafi Logon Ko Woh Harkat Maloom Hai.

To Us Imam Ke Peechhe Namaz Na Padhein.

Aise Imam Ke Peechhe Namaz Makrooh E Tahreemi Hogi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love