Agar Imam sahab kabhi, kabhi namaz padhte waqt samne ki Deewar ki taraf dekh lete hain
To is fail se namaz me koi karahat aayegi ya nahi Aur aise Imam ke pechhe Namaz Padhein ya nahi
Agar nahi to Jamat chhodne ka gunah hoga ya nahi?
Jawab:
Namaz me Nazr e neechi rakhna mustahab hai.
Agar kabhi imam ki nazar samne ki taraf gayi to usse Namaz me khalal na aayega aur iqteda durust hogi.
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
- Advertisement -
Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.