1) Ek alim e deen hai jo masjid ke imam bhi hai unho ne apne dadhi ko kali ki hai

Kya aise imam ke piche namaz hongi. Agar nahi hongi to kaab taak nahi hongi aur kya unhe ailaniya tauba bhi karna honga.nn2) Agar muktadi ko pata hai ke imam ne kuch aisa kaam kiya hai jiske kaaran uski namaz imam ke piche nahi hogi.nnAb jamaat se padhna bhi wajib hai, To ab muktadi kya karennTanha namaz padhe ya phir usi imam ke piche padhe ?nnJawab:nnKaala khizaab baalo me lagana Aam Momino ke liye Haraam hai aur Khizab lagane waala fasiq e Molin hai uske peeche Namaz makrooh e tahrimi wajibul iaadah hai.nnAgar wo elaaniya taubah karle uske baad bhi uske peeche Namaz us waqt tak na parhi jaaye jab tak uski taubah par yaqeen na ho jaaye.nnAgar koi fasiq imam ho, to uske peeche Namaz na parhi jaaye.nnBalke uske ilawa koi imam na mile to apni tanha parh le.nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love