Jab Maut Ka Waqt Karib Aaye Aur Alamate Paayi jayein

To Sunnat yah hai ki daahini karwat par lita kar Qibla ki Taraf Muh kar de. Aur Yah bhi Jaayez hai ki cheet litaaye Aur Qibla ko paanv karein ki Yoonhi Qible ko Muh ho jaayega.

Magar is Surat mein sar ko kuch Uncha Rakhein Aur Qibla ko Muh karna dushwaar ho ki us waqt ki takleef hoti ho to jis halat par hai choor de.

Durre Mukhtaar

Mas’Ala: Jaankani ki Halat (Dam Nikalte waqt ki halat) mein jab tak Rooh gale ko na Aai use talkeen karein.

Ya’ani uske paas Baland Aawaz se padhein.

Ashahadoo Anla ilaha ilallahu wa ashahadoo an muhammadan Rasoolullah.

Tarjama: Main Gawahi deta hoon ki Allah TaAla ke siwa koyi ma’abud (poojne ke kaabil) nahi. Aur Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Allah TaAla ke Rasool hai.

Magar use iske kahane ka hukm na karein.

Mas’Ala: Jab usne kalima pad liya to talkeen karde (Rook de).

Haan Agar Kalima padne ke baad Usne koyi Baat ki to phir Talkeen karein ki uska aakhir kalama.

La Ilaha Illahu Muahammedoor Rasoolullah ho.

Aalamgeeri
Bahar-e-sahari’At 4th Teesra safa 107

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love