Mas’Ala: Bila Jarurat kafne kifayat se kam karna Najayez wa Makrooh Hai.
Durre Mukhtaar
Ba’az mohtaaj kafne masnoon ke liye logo se sawal karte hai yah Naajayez hai Ki sawal bila jarurat jaayez nahi Aur yaha jarurat nahi.
Albatta agar kapde jarurat par bhi kadir naho, to baqadre jarurat sawal kare jyaada nahi.
Haan agar bagair maange musalman khud kafane masnoon pura karde to insha’Allah Ta’Ala pura sawal payega.
Fatawa Razwiya
Mas’Ala: Kafan Achcha hona chahiye yaani mard Eidain wa Jume ke liye jaise kapde pahanta tha.
Aur Aurat jaise kapde pahan kar maike jaati thi.
Us kimat ka hona chahiye.
Hadees mein hai murdo ko Achcha kafan do ki wah Ek Dusre se Mulakat karte Aur Achcha Kafan se Tafakhur (Fakhar) karte.
Ya’ani khush hote hai Safed Kafan Behatar hai ki Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Apne Murde Safed kapdo mein Kafnao
Guniya, Raddul Muhtaar
Bahar-e-ShariAt 4hta Hissa Safa No 113,114
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi