Mas’Ala: Ek Martaba Saare Badan par Paani Bahana Farz Hai Aur teen Martaba Sunnat. Jaha Ghusl de, Mustahab Yah hai ki parda karle ki siwa Nahlaane waalo Aur Maddagaaro ke Dusra na dekhe. Nahlaate waqt khwaah us Tarah Litaaye Jaise Qabr mein Rakhate Hai.
Ya Qible Ki Taraf Paanv Karke, Ya Jo Aasaan Ho karein.
Aalamgeeri
Mas’Ala: Nahlaane waala Paak ho.
Junub, Ya Haiz Waali Aurat ne Ghusl diya To Karaahat Hai.
Magar Ghusl ho jaayega, Aur Be-wazu Nahlaya To Karaahat bhi nahi.
Behtar Yah hai ki Nahlaane waala Mayyat ka Sab se Karibi Rishtedaar ho.
Wah Nahlaaye Aur Agar Nahlaana na Jaanta Ho.
To Koi Aur Shakhs Nahlaaye Jo Amanatdaar wa Parez gaar ho.
Aalmgeeri
Mas’Ala: Nahlaane waala Ehtimaad wala shakhs ho ki puri Tarah Ghusl de.
Aur Jo Achchi Baat dekhe, Maslan Chehra Chamak Utha, Ya Mayyat Ke Badan se Khushbu Aayi.
To use Logo ke saamne bayaan karein.
Aur koi buri Baat dekhi, maslan chehra ka Rang siyaah ho gaya, badbu Aayi, ya Surat Ya Aaja mein Badlaaw aaya.
To ise kisi se na kahein Aur Aisi Baat kahna Jaayez Bhi nahi.
Ki hadees mein irshad huwa murdo ki khubiyaan zikr karo Aur unki buraiyoon se baad Raho.
Johra Nayyira
Bahar-e-sahari’At 4th Hissa safa 109
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
nMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi