Mas’Ala: Kafan pahnane ka tarika ye hai ki. Mayyat ko ghusl dene ke baad badan kisi kapde se Aahista Poch le ki kafan tar na ho.
Aur kafan ko 1 Ya 3 Ya 4 Ya 7 Baar dhuni de le is se zyada nahi.
Phir kafan yoon bichaye ki badi Chaadar.
Phir Tahband, phir kafani, Phir mayyat ko us par litaye Aur kafani pahnaye.
Aur dhaadi Aur Tamaam Badan par khusbhu male Aur mawaaje E Sujud.
Ya’ani Maatha, Naak, Haath, Ghutne, Kadam par kafoor lagaye.
Phir ijaar
Ya’ani Tahband lapete
Pahle baayi jaanib se phir daahini taraf se phir lifafa lapete.
Pahle baayi taraf se, phir daahini taraf se taaki daahina upar rahein.
Aur sar Aur paanv ki taraf baandhle ki Udne ka Andesha na Rahein.
Aurat ko kafni Pahna kar uske baal do hisse karke kafni ke upar seene par daal de, Ki seene par Rahein.
Kyun ki Odhani ki Lambai se beecha kar sar par laga kar muh par nakaab ki tarah daal de, Ki seene par rahein.
Kyun ki Odhani ki lambayi Aadhi peeth se seene tak hai.
Aur Chawdayi kaan ki loo se dusre kaan ki loo tak hai.
Aur ye jo log kiya karte hai, ki zindagi ki tarah udhate hai yah mahaj bekar wa khilafe sunnat hai.
Phir ba-dastur ijaar wa lifafa lapete.
Phir sabke upar seenaaband pistaan ke upar se Raan tak Laakar Baandhe.
(Aalamgeeri,Durre Mukhtaar,Bahar e Shari’At)
Bahar-e-Shari’At 4hta Hissa Safa No 115
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi