Marte waqt MaazAllah Uski Zabaan se kalima E kufr Nikla To Kya hukm denge?

Mas’Ala: Marte waqt MaazAllah Uski Zaban se Kalima E Kufr Nikla To Kufr ka Hukm Na denge Ki Mumkin hai maut ki sakhti mein Aqal Jaati Rahi Ho Aur Be-hoshi mein Yah Kalima Nikal Gaya.

Durre Mukhtaar

Aur Bahut Mumkin hai ki uski Baat puri samajh mein na Aayi ki Aisi Shiddat ki halat mein puri baat saaf Taur par Ada karle dushwaar hota hai.

Mas’Ala: Uske zimme Qarz Ya jis kism ke Dain ho Jald se jald Ada karde. Ki hadees mein hai Mayyat Apne dain mein mukayyad hai.

Yaani kaid haalat mein Ek Riwayat mein Hai uski Rooh Muallak (Adhar Mein) Rahti Hai.

Jab tak Kaid na Ada kiya jayein.

Bahar-e-sahariAt 4th Teesra safa 107,108

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Sahab

Share your love