Naza Mein Sakhti Dekhe To Kaun si Quran Ki Surah Padhni Chahiye?

Mas’Ala: Takleed karne wala koi nek Shakhs Ho, Aisa Na ho jisko uske marne se khushi ho. Aur uske pass us waqt nek aur parez gaar logo ka hona bahut Achchi baat hai.

Aur Us waqt waha Surah E Yaseen Sharif ki Tilawat Aur khushbu Hona Mustahab Hai.

Maslan Loban Ya Agarbttiyaan Sulga de.

Aalamgeeri

Mas’Ala: Maut ke waqt Haiz wa Nifas Waali Aurate Uske pass haajir Ho sakti hai.

Aalmgeeri.

Magar Jiska Haiz wa Nifas Munkata Ho Gaya, Abhi Gusl Nahi kiya Use Aur Junub ko Aana Na Chahiye.

Aur Koshish Karein ki Makan mein Koyi Tasveer Ya Kutta Na Ho.

Agar yah Cheeze ho To Fauran Nikal di jaye ki jaha Yah hoti hai Rahmat ke Farishte Nahi Aate.

Uski Naza ke waqt Apne Aur uske liye Dua E Khair Karte Rahein.

Koi Bura Kalima Jabaan se Na Nikale Ki Us waqt Jo Kuch kaha jaata hai Malaika us par Aameen Kahte hai.

Naza mein sakhti Dekhe to Surah E Yaseen wa Surah E Ra’d padhein.

Mas’Ala: Jab Rooh Nikal jaye To Ek Chaudi patti jabde ke neeche se sar par le jakar geerah de de. Ki Muh Khula na Rahe Aur Aankhe band kardi jayein Aur Ungliyaan Aur Haath Paanv seedhe kar diye jayein.

Ye kaam Uske Ghar waalo mein Jo zyada Narmi ke Saath Kar sakta ho Baap, Ya Beta wah karein.

Mas’Ala: Mayyat ke Saare Badan ko kisi kapde se chupa de Aur usko Chaarpai, Ya Takhat wagairah kisi Unchi Cheez par Rakhe Ki zameen ki seel na Pahunche.

Aalamgeeri
Bahar-e-sahariAt 4th Teesra safa 107

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love