Namaz E Janaza ka tarika?
Namaz e janaza me 2 farz hai.
- Qayam (khade hona)
- 4 Takbeer kehna
Namaz e janaza me 3 sunnatein hai.
- Sana padhna
- Durood E Ibrahim Padhna
- Namaz e janaza ki dua padhna
Namaz e janaza ki niyat
Niyat ki maine namaz e janaza farz e kifaya ki sath 4 takbeero ke Waaste Allah Ta’ala ke dua is Mayyat Ke liye peeche is imam ke muh mera kaaba shareef ke taraf.
Pehli takbeer
Niyat Ke Baad Jaise hi imam pehli takbeer kahenge Allah hu akbar kehte hue hath bandna hai aur Sana padhna hai.
Dusri takbeer
Jab imam dusri martaba Allah hu akbar kahe to bagair hatho ko uthaye durood e ibrahim padhna hai.
Teesri takbeer
Jab imam teesri martaba Allah hu akbar kehe to bagair hatho ko uthaye namaz e janaza ki dua padhna hai.
Chauthi takbeer
Jab imam chauthi martaba Allah hu akbar kahe to dono hatho to Chhod kar salam phere.
Note: Sunnat tarika yahi hai ke apne dono hatho ko Chhod kar salam phere.
Namaz e janaza ki dua
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا
Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa shahidina wa gha’ibina wadhakarina (wazakrina) wa unthana ( wa unsana) wa saghirina wa kabirina
- Advertisement -
Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.