Namaz e janaza mein 2 farz hai.
Qayam (khade hona)
4 Takbeer kehna
Namaz e janaza mein 3 sunnatein hai.
Sana padhna
Durood E Ibrahim Padhna
Namaz e janaza ki dua padhna
Namaz e janaza ki niyat
Niyat ki maine namaz e janaza farz e kifaya ki sath 4 takbeero ke Waaste Allah Taala ke dua is Mayyat Ke liye peeche is imam ke muh mera kaaba shareef ke taraf.
Pehli takbeer
Niyat Ke Baad Jaise hi imam Jaise hi pehli takbeer kahenge Allah hu akbar kehte hue hath bandna hai aur Sana padhna hai.
Dusri takbeer
Jab imam dusri martaba Allah hu akbar kahe to bagair hatho ko uthaye durood e ibrahim padhna hai.
Teesri takbeer
Jab imam teesri martaba Allah hu akbar kehe to bagair hatho ko uthaye namaz e janaza ki dua padhna hai.
Chauthi takbeer
Jab imam chauthi martaba Allah hu akbar kahe to dono hatho to Chhod kar salam phere.
Note: Sunnat tarika yahi hai ke apne dono hatho ko Chhod kar salam phere.
Namaz e janaza ki dua
Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa shahidina wa gha’ibina wadhakarina (wazakrina) wa unthana ( wa unsana) wa saghirina wa kabirina
Tarjumah : Ya Allah maghfirat farma hamare zindo ki aur hamare murdo ki aur hamare hazir ki aur hamare gayab ki aur hamare mardo ki aur hamari aurato ki aur hamare choto ki aur hamare bado ki.