Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Mayyat Dafnane Ke Baad

Itni Der Qabr Par Aulado Ko Tilawat Karne Ki Nasihat Kyu Ki Jab Tak Ek Oont Zibah Kar Ke Taqseem Kar Diya Jaayein?

Hazrat Rahnumayi Farmaye.

Jawab:

Dafn Ke Baad Qabr Ke Paas Itni der Taherna Mustahab Hai, Jitni Der mein Unt Zabah Kar Ke Gosht Taqseem Kar Diya Jaayein, Ke unke Rehne se Mayyat Ko Unsiyat Hogi Aur Nakirain ka Jawab Dene Mein Wahshat Na Hogi Aur Itni Der Tak Tilawat e Quran aur Mayyat Ke Liye Dua o Istegfar Karein Aur Dua Karein Ke Sawal e Nakiriain ke Jawab Mein Sabit Qadam Rahein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love