Insan ke inteqal ke baad jo ziyarat ka khana hai

Uss Khaane par kiska haq hai aur usse kaun kha sakta hai?

Jawab:

Fuqra o masaakin ka haq hai. Gani ke liye munasib nahin teeja o chaliswan wagairah ka khana. Agar gani bhi kha len to gunahgar nahin, magar iss tarh ke khane se gani ko bachna chahiye.

Agar malik ne sirf faqeeron ke liye khane ka intezam kiya or uski yehi niyat ho to ab gani ko khana jayez nahin.

Yunhi agar inn mawaqe par bataure dawat khilaya jaye jab bhi ganiyaa ko khana jayez nahin.

Upar ki tafseel se ye baat waazeh hui ke agar malik ne faqeeron ke liye khas na ki ho or na hi bataure dawat ho.

Balke mahaz sawab ke liye madarse mein khana bhijwaye ya unko ghar pe bulakar khilaye to har tarah ke bachche kha sakte hain.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love