Jawab:
Mayyat Ka Teeja Aur Isi Tarah Daswa, Beeswa Aur Chaleeswa Wagairah Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Zahiri Zamana Mein Nahi Hota Tha.
Balki Yeh Sab Baad Ki Ijaad Hai Aur Biddat e Hasna Hai.
Isiliye Ki Inmein Mayyat Ke Isal e Sawab Ke Liye Quran Khwani Hoti Hai.
Sadqa, Khairat Kiya Jaata Hai Aur Gurba wa Masaakeen Ko Khana Khilaya Jaata Hai Aur Yeh Sab Sawab Ke Kaam Hai.
Haan, Is Mauqe Par Dost wa Ahbaab Aur Azeez wa Aqareeb Ki Dawat Karna Zaroor Biddat e Sayyeaa Hai.
Shaami Jild Awwal Safa 629, Fathul Qadeer Jild Duam Safa 102