Mere Sasur Ne Apna Ek Plot Apne Ek Bete Ko Dene Ko Kaha.

Lekin Abhi Uske Naam Ke Paper Nahi Banwaye The. Ab Wo Faut Ho Gaye Hein.

To Kya Wo Ab Akela Uska Malik Hai Ya Doosre Beto Ka Bhi Hissa Hai Usme?

Jawab:

Agar Aap Ke Sasur Ne Apne Ek Bete Ko Woh Plot Dekar Us Par Qabza Bhi De Diya Tha To Woh Plot Usi Bete Ka Hai.

Jisko Aap Ke Sasur Ne Diya Tha Us Plot Ka Shumaar Aap Ke Sasur Ke Tarkah Mein Nahi Hoga.

Aur Agar Sirf Zabani Kaha Ke Ek Plot Main Ne Apne Ek Bete Ko Diya Aur Us Plot Par Qabza Nahi Diya Tha Aur Unka Inteqal Ho Gaya To Woh Plot Aap Ke Sasur Ka Hi Tha.

Aur Ab Iteqaal Ke Baad Unka Tarkah Hai Jo Ke Hasb E Hukm E Sharaa Wariseen Ka Darmiyaan Taqseem Hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love