Halat e jachki mein amuman aurato ko kam o besh 8-10 din haiz ata hai

Aur uske baad Haiz band hojata hai. Jabki yeh pehli jachki hai.

Toh aise mein aurat kab tak Ghusl na karein aur kab tak namaz na padhein?

Aur awaam mein yeh baat mashhoor hai ke 40 din tak aurat namaz na padhein.

Phir chahe haiz aata ho ya nahi. Toh iski kya haqiqat hai?

Jawab:

Bachcha paida hone ke baad aurat ko jo khoon aayein wo nifas hai aur iski kam se kam muddat ki koi hadd nahi.

Ab aainda 40 din ke andar hi phir khoon aaya to wo nifas hi hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love