Aurat Apne Mahram ke sath jab Ghumne Jati Hai

Saath mein jo Mahram hai unki kisi Mazar Sharif par hazri dene ki niyat hoti hai.

Par uss aurat ki Niyat sirf Apne Mahram ke saath Ghumne Jane ki hota hai.

Woh Mazar Sharif ke Pass andar nahi jaati hai.

Par bahar se fatiha padh leti hai.

Toh kya woh aurat apne mahram ke saath iss tarah ka safar kar sakti hai.

Jawab

Mahram ya shauhar ke hamraah uski khidmat ke irade se uske sath kahin safar karein to jaayez hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love