Aurat kabristan kyu nahi ja sakti? Kya aurat qabristan ja sakti hai

Jawab:

Aurato ka Qabro par jaana ikhtelafi Mas’la hai.

Aksar Ahl e Ilm ise Haraam, Ya Makrooh e Tahrimi Kahte hain, ye ikhtelaf yu paida hua ke ek zamane mein Qabro par jaana sab ko mana tha.

Mardo ko bhi aur Aurato ko bhi.

Baad mein Huzoor pur Noor Sallallahu Alaihi Wasallam ne iski Ijazat ataa farma di aur irshad farmaya:

“Qabro ki ziyarat kiya karo, wo Akhirat ki yaad dilaati hain”.

Jo Hazrat Qabro par jaane ko jaayez rakhte hain, unka kehna hai ke ye Ijazat jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ataa Farmaayi, Mardo aur Aurato sab ko shamil hai.

Aur Jo Hazrat Najaayez kehte hain, unka istedlal ye hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne aisi aurato par Laanat farmayi hai jo qabro ki ziyarat ke liye jayein.

Lehaza Qabro par jana unke liye Mamnol aur Moojib e Laanat hoga.

Aur Ulama ye bhi farmate hain ke Auratein ek to Shara’i Masail se kam waqif hoti hain, dosre unme sabr, Hausla aur zabt kam hota hai.

Isliye unke Haq mein Gaalib andesha yahi hai ke ye wahan jaakar Cheekh pukaar karengi, Be Pardagi hogi, Ya Koi Biddat khadi karengi.

Shayad isi Andeshe ki bina par.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne unke Qabro par jaane ko Moojib e Laanat farmaya.

Huzoor Sadrush Shariah Irshad Farmate hain:

Mazhab e Saheeh ye hai ke Hadees Mein Mansookh hai ye Hukm muqaddam hai aur dosri Hadees Jisme ziyarat e Quboor ki ijazat hai wo Muta’kkhar o Naasikh hai.

Hadees mein agarche segha muzakkar hai.

Magar ye amr muqarrar aur saabit hai ke khitabaat e Shara’iyyah mein agarche segha muzakkar Hai.

Auratein bhi isme dakhil hain, jab tak daleel e Shara’i se rijaal ki khususiyat saabit na aur Iski kashif hai.

Lehaza ziyarat e quboor se Aurato ko murtakib e Fe’l e Haraam nahi kaha jayega.

Agarche hamaare nazdeek aslam tareeqa ye hai ke Aurato ko ziyarat e quboor se mana kiya jayein, kyuke unme ifraat o tafreet ka Maaddah gaalib hai aur surat e Mas’oola mein hijab aur Adab e e’zaaz ka pura lehaz kiya gaya hai.

Lehaza hukm mein aur mazeed khiffat paida ho gayi.

Fatawa Amjadia jild 1 safah 327

Huzoor Sayyedi Aala hazrat Farmate hain:

“Meri Raaye is masle mein khilaaf par hai, muddat hui mera fatwa Tohfa e Hanafiyya mein Chhap chuka, mai us Rukhsat ko jo Bahr ur Raayeq mein likhi maan kar Nazr ba Halaat e Nisaa Siwa e Hazri e Rauza e Anwar ke Wajib ya Qareeb ba Wajib Hai.

Mazaraat e Aulia ya Deegar Quboor ki ziyarat ko Aurato ka jana Ba Itteba e Guniya Allama Muhaqqiq Ibraheem Halabi Har giz pasand nahi karta, khususan is tufaan e be tameezi raqs o mazameer o surood mein jo aaj kal johhaal ne A’raas e Tayyeba mein barpa kar rakha hai. Is ki shirkat to mai awaam e rijaal ko bhi pasand nahi rakhta, na ke wo jin ko Anjasha Radi-Allahu Ta’ala Anh ki Hadi Khwani ba ilhaan e Khush par Aurato ke saamne Mumaana’at farma kar unhe nazuk sheeshiyaan farmaya gaya”.

Fatawa Razaviyyah mutarjam jild 23 safah 111

Lehaza Mazkoora Baala Aqwaal e Foqaha se Ye Saabit ho gaya ke Aurato ke Mazaraat par Jaana fi zamaanina Najaayez hai aur iski Mumaana’at Mahram o Gair Mahram ki Buniyaad par nahi.

Balke Unki Parda Nasheeni aur Aaj kal hone waale khuraafaat o bad’tameezi ki buniyaad par hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love