Kya khawateen apne baal kaat sakti hai kisi majboori ki wajah se?

Jaise ke baal ka tootna wagerah. Treatment ke tor par

Jawab:

Musalman Aurato ke liye Sar ke baal lambe rakhna wajib hai aur bila uzr o zarurat katwaana sakht najaayez hai.

Hadrat Ali Radi-Allahu Ta’ala anh se Marwi hai ke Nabi kareem Sallalahu Alaihi Wasallam ne aurat ko sar moondne se mana kiya hai.

Mulla Ali qari Farmate hain:

“Aurat ke liye sar ke baal moondna isliye haraam hai ke Aurato ki Mendhiyaan Hai’at aur husn o jamal mein mardo ki daarhi ki tarah hain.

Agar maqsad e zeenat ke bagair sirf zarurat ki waja se baal kaate jaayein, maslan zyada lambe ho jaayein aur unko sanwaarna mushkil ho jaayein wagaira to ba-qadr e zarurat kaat lene mein koi harj nahi hai.”

Isi tarah agar baal girte hain to kuch baal kaatne se uska ilaaj ho sakta hai, to kaat sakte hain.

Magar baal kaatne ka maqsad agar kaafir o fasiq aurato, ya mardo ke sath mushabahat ikhtiyar karna ho.

To bila shak o shubah ye Haraam Amal hai.

Kyuke Nabi e Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam ne Umoomi taur par kuffaf ke sath Mashabahat ikhtiyar karne aur Aurato ko Mardo ki Mushabahat ikhtiyar karne se mana farmaya hai.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love