Namaz ka hukm Hamal wali aurat pe kya hai?

Hamal ke dauran peshab ki jagah se paani nikalte rehta hai.

Toh kya iss surat mein namaz ya tilawat hosakti hai?

Rehumanyi Farmaiye.

Jawab:

Haamila Aurat Par Namaz Farz Hai.

Agar Is Dauran Har dam Aage ke maqaam se Rutoobat nikalti hai,

To wo sailaan e Reham hai Aur Isse Wazu Toot Jaata Hai.

Lehaza Jab ye paani nikle to wazu dobara karna hoga.

Aur Agar Ma’zoor hai ke Hamesha pani nikalta hi rehta hai ke poore Ek Namaz ke waqt mein itna waqt bhi nahi milta ke Wazu karke Farz Namaz bhi ada kar sake to Wo Ma’zoor hai.

Har Namaz ke Waqt Wazu karke Us Waqt mein jitni chahein Namazein aur Auraad o Wazaaif o Tilawat e Quran wagaira kar sakti hai aur jaise hi us Namaz ka waqt khatam ho jaayein wazu jaata rahega.

Phir dobara wazu karna hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love