Eid ul fitr aur Eid ul adha mein aurton ki namaz agar bajamat ho

To wajib padhna hai or bina jamat ke padhte hai to nafl padhna hai.

But ye bhi hai ki Eid ke din jab tak Eid ki namaz na ho jayein koi bhi nafl namaz na ada karein na mard, na hi aurat

Or aurat ke liye hai ki jab mard Eid gaah se aa jayein tab nafl namaz ada karein.

To mera sawal ye hai ki auratein Eid ki namaz nafl kab or kaise kis time padhein.

Jawab:

Aurato ke liye Jamaat mein Hazri jaayez nahi.

Agar wo nafl padhna Chahein to Namaz e Eid ke Baad parh sakti hain.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love