Aurat Ki Namaz Ka Tarika?

Aurat Ki Namaz Ka Tarika Ye Hai Ki

Auratein Takbeer e Tehrima Ke Waqt Kaano Tak Haath Na Uthaye.

Balki Kandho Tak Uthaye, Haath Naaf Ke Neeche Na Bandhe.

Balki Baaye (Left) Hatheli Seene Par Chaathi Ke Neeche Rakh Kar Uski Peeth Par Dahini (Right) Hatheli Rakhein.

Ruku Mein Ziyada Na Jhuke.

Balki Thoda Jhuke, Yani Sirf Iss Qadar Ki Haath Ghutno Tak Pahunch Jaaye, Peeth Seedhi Na Karein Aur Ghutno Par Joor Na De.

Balki Mahaz Haath Rakh De Aur Haatho Ki Ungliya Mili Huwi Rakhe Aur Paaw Kuch Jhuka Rakhe Mardo Ki Tarah Khoob Seedha Na Karde.

Auratein Simat Kar Sajda Karein, Yani Baazoun Ko Karwato Se Milade Aur Pait Raano Se Aur Raano Ko Pindhliyo Se Pindhliya Zameen Se Juda Na Rakhein, Aur Qaida (Baithak) Mein Baaye (Left) Qadam Par Na Baithe.

Balki Doono Paaw Dahine (Right) Janib Nikaal De Aur Baaye (Left) Sureen (Puttha) Par Baithe, Aurate Bhi Khadi Hokar Namaz Padhein.

Farz Aur Wajib Jitni Namazein, Bagair Ujr Baithkar Padh Chuki Hai.

Unki Qaza Karein Aur Tauba Karein.

Aurat Mard Ki Imamat Hargiz Nahi Kar Sakti Aur Sirf Auratein Jamat Karein, Ye Makrooh E Teheemi Aur Najaayez Hai.

Aurato Par Juma Aur Eidein Ki Namaz Wajib Nahi!

Share your love