Burqa (Aurton Ka Parda) Burqa Aur Parda Kise Kehte Hai

Kuch Logo Ka Kehna Hai Ke Burqa Jism Ko Chupane Ka Naam Hai.

Isiliye Hum Aurtein Apne Jism Ko Kapdon Se Chupa Dete Hain.

Yani Shirt Shalwaar Jo Bhi Ho Usse Hum Apna Pura Jism Chupa Dete Hain.

To Alag Se Parda Karne Ki Kya Zarurat Hai.

Asal Mein Parda Aur Burqa Kise Kehte Hain?

Jawab:

Burqa Ya Naqaab Us Kapde Ko Kaha Jata Hai.

Jisse Aurat Ka Saara Jism Sar Taa Pair Chup Jaayein Aur Zeenat Kahin Se Zahir Na Ho.

Aam Kapdo Mein Zeenat Bhi Hoti Hai Use Burqa Nahi Kaha Jaayega.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love