Haiz aur nifas kise kehte hai?

Baliga aurat ke aage ke maqaam se jo khoon aadhi taur par nikalta hai aur bimari, ya bachcha paida hone ke sabab se naho to use haiz kehte hai.

Uski muddat kam se kam teen din aur zyada se zyada das (10) din hai.

Isse kam, ya zyada ho to bimari yani istihaza hai, aur bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai use nifas kahte hai.

Nifas mein kami ki jaanib koi muddat mukarrar nahi aur zyada se zyada uska maana chaalees (40) din hai.

Chaalees (40) din ke baad jo khoon aaye vah istihaza hai.

Anware Shariat Hindi Page 40

Share your love