Iddat ke 4 mahine 10 din kaise count kiya jaye?

Chand raat se chand raat 1 mahina?

Ya fir tarik se tarik jaise kisi ka inteqal hua 27 ramadan ko toh 27 ramadan se 27 shawwal tak 1 mahina?

Jawab:

Agar kisi ka inteqal pehli Tareekh ko hua to Us ki bewa Tareekh ke etebar se Maheene shumar karein.

Yaani chand Raat ko inteqal hua to wo maheena 30 ka ho ya 29 ka use ek maheena shumar kiya jaayein.

Isi tarah 4 maheene shumar karein aur phir 10 din aur Shumar karein.

Aur Agar Darmiyan mein inteqal hua hai to 30 roz ka ek Maheena Shumar karte hue iddat 4 maheene 10 din yaani 130 din Guzarein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love