Jo Humari Rooh Bhatak Ti Rehti Hai Idhar Udhar Wo Jojo Dekhti Hai. To Wahi Sab Hum Khwab Mein Dekhte Hai Kya?
Jawab:
Khwab Ke Baare Mein Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi RadiAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hain.
Khwab 4 Qism Hai.
Ek Hadees E Nafs Ke Din Mein Jo Khayalaat Qalb Par Gaalib Rahein.
Jab Soya Aur Is Taraf Se Hawaas Muattal Huye Aalam E Misaal Baqadr E Istedaad Munkashif Hua.
Unhi Takhayyulaat Ki Shaklen Saamne Aai Ye Khwab Muhmal O Be Mana Hai Aur Usme Daakhil Hai Jo Kisi Khalt Ke Galbah Uske Munaasbaat Nazar Aate Hai.
Maslan Sfraawi Aag Dekhe Ya Balgami Paani.
Dosra Khwab Ilqaa E Shaitan Hai Aur Woh Aksar Wahshatnaak Hota Hai.
Shaitan Aadmi Ko Darata Ya Khwab Mein Uske Saath Khelta Hai.
Isko Farmaaye Ke Kisi Se Zikr Na Karo Ke Tumhe Zarar Na De. Aisa Khwab Dekhe To Baayein Taraf 3 Baar Thook De Aur اعوذ Padhe Aur Bihtar Ye Hai Ke Wazu Kar Ke 2 Rakat Nafl Padhe.n
Teesra Khwab Ilqaa E Firishta Hota Hai.nIsse Guzashta O Maujoodah O Aaindah Gaib Zaahir Hote Hai.
Magar Aksar Parda E Taaweel E Qareeb Ya Ba?eed Mein.
Lihaza Muhtaaj E Tabeer Hota Hai.
Chutha Khwab Ke Rabbul Izzat Bila Wasta Ilqaa Farmaaye Woh Saaf Sareeh Hota Hai Aur Ye Ihteyaaj Tabeer Se Bari.
(Fatawa Razviyyah Jild 29 Safah 87/88)
Lihaza Jo Khwab Dosre Qism Kaho Jo Dar Asl Shaitan Ki Taraf Se Hai Use Bayan Na Karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi