Main Trust Mein Trustee Ke Post Per Faiz Hu

Aur Isme Zakat, Fitra, Sadaqat, Aate Hain Aur Khuch Gair Muslim Ke Bhi Funds Aate Hain.

Kya Mujhe Muwaavza Ya Salary Agar Woh Log Dete Hain. To Mujhe Lena Chahiye Ya Nahi.

Agar Lena Chahiye To Kya Hisab Se Lena Chahiye.

Shariyat Kya Kehti Hai Is Mamle Mein.

Jawab:

Agar Ap Us Trust Ke Mutawalli. Yaani Dekh Bhaal Kaam Kaaj Karte Hain.

To Us Ki Ujrat Ke Taur Koi Munasib Raqam Ba Taur E Tankhwaah (Salary) Le Sakte Hain.

Magar Zakat O Sadaqat E Wajibah Ke Mustahiq Sirf Gurabaa O Masaakin Hain.

Zakat O Sadaqat Se Tankhwaah Ke Taur Par Raqam Lena Jaayez Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love