Kai log bahut buland awaz se namaz aur Quran padhte hai masjido mein

Aisa karna kaisa aur unke liye kya hukm rahega?

Jawab:

Agar koi Tan’ha hai, to uske liye hukm hai ke itni aawaz se qirat karein ke khud soon sakein.

Agar isse zyadah aawaz mein karta hai ke door tak aawaz jati hai aur aas paas koi maujood nahi, to harj nahi.

Lekin aise mein agar dosre bhi maujood hai aur apne Auraad o Wazaaif, Tilawat o Ibadat mein mashgool hain, to chahiye ke ahista parhe.

Warna parhne wala Gunahgar hoga aur agar log sunne ke liye hi baithe hai, to buland awaz mein parhe.

Aise mein agar koi na sune aur dusre kaam karne lage, to wo sunne waala gunahgar hoga.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love