Azaan ke waqt saare kam band karke azaan ko dhyan se sunna aur jawab dena hota hai.
Lekin jab azaan koi gair e sunni de raha ho to kya hukm hai ?
Out of India sunni masjid nahi hoti hai, ya bahot kam.
To iske liye kya hukm hai?
Kyuki sunne me aya hai ki gair e sunni ki azaan par dhyan na diya jaye, na jawab diya jaye.
Jawab:
Gair Muslim ki azaan shar’an azaan nahi.
Lehaza uska sunna ya jawab dena bhi lazim nahi.
Haan Jis kisi insan ki zaban se Allah ﷻ ka Naam sune to Uske liye Tasbeeh kare Aur Sarkar ﷺ ka naam e Naami sune to durood parhe.
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
- Advertisement -
Comments are closed, but trackbacks and pingbacks are open.