Yaum e juma mein jo log masjid mein late aate hai

Magar saffon mein baithe huwe logo ki gardanein ke upar se hote huwe aage ki saff mein jaa baithte hai.

Kya aisa karna jayez hai Aur woh log jo topi, ya rumal rakh ke jagah pehle se pakad lete hai aage ki saffon mein, fir apne kaam karke sidhe aage ki saffon mein jaa baithte hai.

Kya yeh amal jayez hai?

Hazrat rehnumayi farmaye.

Jawab:

Hadees e Paak mein Hai Ke

Jis Ne Juma ke Din Logo ki Gardane Phalaangi Us Ne Jahannam Tak Pahochne Ka Apne Liye Pul Bana Liya.

Musnad Ahmad, Tirmizi, ibn e Majah

Lehaza Agar Juma ke Liye Masjid Mein Log Saff Mein Baith Chuke Ho Aur Jagah Na Ho Phir Bhi Koi Logo ki Gardane Phalang Kar Agli Saff mein Jaayein to Wo Gunahgar Hoga.

Isi Tarah Pehle se Apni Jagah Rumal, ya JaNamaz Bichha Kar Khaas kar Lena Nahi Chahiye, Agar us Jagah ke Ilawa Masjid mein Jagah Nahi to us Jagah Par Dosra Shakhs Baith Sakta hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love