Hamare Yaha Ek Masjid Ka Moazzin Umrah Ki Safar Ke Liye Ja Raha Hai

Wo Gareeb Hai Aur Unke Liye Hamari Masjid Me Maulana Sahab Ne Eylaan Kiye Ki Inko Kuch Imdad Ki Raqam De.nnTo Kya Masjid Me Aise Eylaan Karwa Sakte Hai.nnMujhe Confusion Ho Rahi Hai Maine Kahi Padha Hai Ki Masjid Me Sawal Nahi Kiya Jaata.nnPar Inke Kehne Se Maulana Sahab Ne Eylaan Karwaya Hai Ki Inko Kuch De.nnKya Asa Karna Sahi Hai, Ya Galat?nnJawab:nnSayyedi Aala hazrat Irshad Farmate Hain.nnDosre Mohtaj Ke Liye Imdad Ko Kehna, Ya Kisi Deeni Kaam Ke Liye Chanda Karna Jisme Na Gul Shor Ho Na Gardan Phalangna Na Kisiki Namaz Me Khalal Ye Bila Shubah Jayez.nnBalke Sunnat se Saabit Hai.nnAur Be Sawal Kisi Mohtaaj Ko Dena Bahot Khoob Aur Maula Ali Karramallahu Ta’ala Waj’hahu Se Saabit Hai.nn(Fatawa Razavia)nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love