Azan ke waqt saare kam band karke azan ko dhyan se sunna aur jawab dena hota hai

Lekin jab azan koi gair e sunni de raha ho to kya hukm hai?

Out of India sunni masjid nahi hoti hai, ya bahot kam hoti hai.

To iske liye kya hukm hai?

Kyuki sunne mein aya hai ki gair e sunni ki azan par dhyan na diya jayein, na jawab diya jayein.

Jawab:

Gair Muslim ki azan shar’an azan nahi.

Lehaza uska sunna ya jawab dena bhi lazim nahi.

Haan Jis kisi insan ki zaban se Allah taala ka Naam sune to Uske liye Tasbeeh karein Aur Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam e Naami sune to durood parhe.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love