Biddat Kya Hai?

Istilahe Shara (Islami Boli) Mein Biddat Aisi Cheez Ke Ijaad Karne Ko Kehte Hai.

Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zahiri Zamane Mein Na Ho, Khwah Woh Cheez Deeni Ho, Yaa Duniyawi.

Ashi’atul Lamaat Jild Awwal Safa 125

Biddat Ki 3 Qisme Hai.

(1) Biddat E Hasna

(2) Biddat E SayyeAa

(3) Biddat E Mubaah

Biddat E Hasna – Wah bidat hai jo Quran Wa hadees ke wasul wa Qawaaid ke Mutabik ho Aur Unhi par Qiyas kiya gaya ho.

Uski 2 Qisme Hai.

(1) Biddat E Waajiba – Jaise Quran wa hadees Samajhne ke liye Ilm e nahw ka seekhna Aur Gumraah phirke maslan khaarji, Raafji, Qadyaani Aur wahabi Wagairah par Radd ke liye Dalaayi Kaayam Karna.

(2) Biddat e Mustahabba – Jaise Madarso ki taamir Aur har wah nek kaam jiska Rawaaj ibtidaa-e-zamaana me nahi tha.

Jaise Azaan ke baad Salaat Pukarna.

Durre Mukhtar Baabul Azaan mein hai ki Azaan ke baad Assalatu Wa Sallamu Alaik Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Pukarna Maahe Rabi-Ul-Aakhir San 781 Hijri mein jaari huwa Aur Yah biddat e Hasna Hai.

Biddat e sayyeAa – Wa biddat hai Jo Quran wa Hadees ke Usul wa Qawaid ke Mukhtalif ho.

Biddat e SayyeAa ke 2 Qisme Hai

(1) Bidat e Muharram – Jaise Hindustan ki Mukhajja Taajiyadari.

(Fatawa-E-Aziziya Risala Taajiyadaari Aala Hazrat) Aur Jaise Ahle Sunnat wal jama’At ke khikaaf Naye Aqeede waalo ke Mjaahib.

AshiAtullm Aat jild Awwal Safa 125

(2) Biddat e Makrooha – Jaise Jumma wa Eidain ka Khutba Gaire Arbi mein Padna.

Biddat e Mubaah – Jo Cheez Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ke jaahiri zamana mein naho Aur jiske karne na karne par Sawab Wa Azab naho use biddat e Mubaah Kahte Hai.

Jaise khaane peene mein Kushaadgi Ikhtiyar karna Aur Rail gaadi wagairah mein Safar karna.

Anwaare ShariAt Safa 21, 22

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love