Aqeedah kise kehte hai?

Jawab:

Aqeedah “Aqd” se hai jiske Ma’na girah baandhne ke hain.

Isse Muraad kisi Shai ki Aisi Tasdeeq hai jisme koi Shak na ho.

Aqeedah ko Iman ke Maf’hoom mein bhi liya jaata hai.

Yaani kisi baat par dil se yaqeen kar lena, Hum Deen ke baare mein jin baato par yaqeen rakhte hain ya jin baato par yaqeen rakhna zaruri hai usko Iman ya Aqeeda kehte hain.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love