Khabar e mustafeez kise kahte hai?

Jawab:

Jis islami shaher mein hakim e sharai qazi e islam ho ke Ahkam e hilal usi ke yahan se saadir hote hain aur khud Aalim aur un ahkam mein ilm par Aamil o Qaaim ya kisi Aalim e deen muhaqqaq mo’tamad par etemaad ka muntazim o mulazim hai.

Ya jahan qazi e shara nahi to mufti e islam marja e awam o matba ul ahkam ho ke ahkam e roza o eidain usi ke fatwe se nifaz paate hain.

Awam e kalAn’aam ba taur e khud eid o ramzan nahi thehra lete, wahan se muta’ddid jama’atein aayein aur sab yak zaban apne ilm se khabar den ke wahan fulaan din bar bina e ruyat roza hua ya eid ki gayi.

Is par qazi e islam ruyat e hilal ka hukm de sakta hai.

Ise khabar e mustafeez kehte hain.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love