JazakAllahu Khairan Ka Matlab Aur Iska Jawab Kya hai

Jawab: Usamah bin Zaid Radiallhu Tala Anhu se riwayat hai ki, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Agar kisi ke saath koi neki ka suluq kiya gaya aur usne neki karne wale se kaha JazakAllahu khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye), toh usne uski puri tarif kar di

Jamia tirimizi, Jild 1, 2101-Hasan

Umar ibn Khattab RaziAllahu anhu ne farmaya:

Agar logo ko jazak Allahu Khairan kahne ka sawab malum ho jayein tou wo ek dusre ko ye bahut zyada kahne lag jayein.

Musannaf Ibn Abi Shaybah, 26519

JazakAllahu Khairan Ka Jawab:

Mafhoom-e-Hadees: Ek baar Usaid bin Haider RaziAllahu anhu ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se farmaya,

Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ! JazakAllahu Khairan (Allah aapko achcha sila ata farmaye)

Toh unke jawab mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Wa antum fa Jazakum Allahu Khairan (Aur aapko bhi, Allah aapko bhi achcha sila ata farmaye

Sahih Ibn Hibban, 7436 -Hasan

Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah RaziAllahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Wo Allah ka ShukrGhuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho.

Sunan Abu Dwud, Vol 3,1383-Sahih

Share your love