Farishte Kya Hote Hai?

Jawab:nnFarishte Noori Jism Waale Hai.nnALLAH TA?ALA Ne UnKo Yeh Taqat Di Hai Ki Jo Shakl Chahe Bann Jayein, Farishte Kabhi Insan Ki Shakl Bana Lete Hai Kabhi Koi Doosri Shakl.nnFarishte Wahi Karte Hai, Jo ALLAH TA?ALA Ka Hukm Hota Hai.nnFarishte ALLAH TA?ALA Ke Hukm Ke Khilaaf Kuch Nahi Karte, Na Jaan Bujh Kar, Na Bhoole Se Aur Naa Galti Se.nnKyunki Woh ALLAH Ke Masoom Bande Hai Aur Har Tarah Ke Sageera (Chote) Aur Kabeera (Bade) Gunaaho Se Paak Hai.nnFarishton Ke Zimme Alag Alag Kaam Hai, Kuch Farishte Bando Ka Achcha Bura Amal Likhne Par Muqarrar Hai.nnJinko Kiraman Katibeen Kaha Jaata Hai, Kuch Farishte Qabr Mein Murdon Se Sawal Karne Par Maqarrar Hai.nnJinko Munkar Nakeer Kaha Jaata Hai Aur Kuch Farishte Huzoor Sallallahu alaihi Wassallam Ke Darbar Mein Musalmano Ke Duroodo Salam Pahuchane Par Muqarrar Hain.n

Share your love