Dozakh Kya Hai?

Jawab:

Dozakh Ek Aisa Makan Hai. Jo ALLAH TA’ALA Ki Shaan e Jabbari Aur Jalal Ki Mazhar (Zaahir Hone Ki Jagah) Hai.

Kis Tarah ALLAH TA’ALA Ki Rehmat Aur Nemat Ki Koi Hadd Nahi Ki Insaan Shumar Nahi Kar Sakta Aur Jo Kuch Insaan Sochta Hai Woh Zarra Barabar Bhi Nahi.

Usi Tarah Uske Gazab Aur Jalal Ki Koi Hadd Nahi, Insaan Jis Qadr Bhi Dozakh Ki Aafaton, Musibato Aur Takleefo Ko Soch Sakta Hai.

Woh ALLAH Ke Azaab Ka Ek Bahut Chota Sa Hissa Hoga. Dozakh Ki Aag Hazar (1000) Baras Tak Jhonkai Gayi, Yahan Tak Ki Bilkul Lal Ho Gayi.

Fir Hazar (1000) Baras Aur Jalayi Gayi, Yaha Tak Ki Safed Ho Gayi.

UsKe Baad Fir Hazar (1000) Baras Aur Jalayi Gayi, Yaha Tak Ki Bilkul Kaali Ho Gayi Aur Ab Woh Kaali Hai Aur Us Mein Roshni Ka Naamo Nishaan Nahi.

Share your love