Jinn Kya Hota Hai?

Jawab:

ALLAH Taala Ne Jinno Ko Aag Se Paida Kiya.

Jinno mein Baaz Ko Yeh Taqat Di Hai Ke Jo Shakl Chahein Bann Jaayein.

Jinno Ki Umre Bahut Zyaada Hoti Hai. Jinno Shareeron Ko Shaitaan Kehte Hai.

Yeh Sab Insaan Ki Tarah Aql Waale, Rooh Waale Aur Jism Waale Hai.

Jinno ki Aauladein Bhi Hoti Hai.

Khaate Peete Hai, Jeete Marte Hai.

Jinno mein Musalman Bhi Hai Aur Kafir Bhi.

Magar Kuffar Insaano Ki Banisabat (Muqable) Zyaada Hai Aur Jinno mein Nek Musalman Bhi Hai Aur Fasiq Bhi Hai Aur Bad-Mazhab Bhi.

Jinno mein Fasiqon Ki Tadad Insaano Se Zyaada Hai.

Share your love