Na Koi Surah Padi Na Dua-E-Qunoot Padha. To Witr Namaz Ka Kya Hukm Hai?
Jawab:
Ruku Se Laute Aur Surah Wa Dua-E-Qunoot Padhein Aur Phir Ruku Karein Aakhir Mein Sajda-E-Sahw Karein.
Dua-E-Qunoot Padhna Bhool Gaya Aur Ruku Mein Chala Gaya, To Na Qiyam Ki Taraf Laute, Na Ruku mein, Na Ruku Mein Padhein.
Aur Agar Qiyaam Ki Taraf Laut Aaya Aur Dua-E-Qunoot Padha Aur Ruku Na Kiya To Namaz Faaseed Na Hogi.
Magar Gunahgaar Hoga Aur Agar Sirf Alhamdu Padh Kar Ruku Mein Chala Gaya Tha To Laute Aur Surat Wa Dua-E-Qunoot Padhein.
Phir Ruku Karein Aur Aakhir Mein Sajda-E-Sahw Karein.
Yoonhi Alhamdu Bhool Gaya Aur Surah Padhli, To Laute Aur Surah Fatiha Aur Surah Wa Dua-E-Qunoot Padh Kar Phir Ruku Karein.
(Aalmgeeri)
Bahar-E-ShariAt Chautha Hissa Safa No 08
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi