Qaza namaz ka tarika

Imam e Ahle Suunat Mujaddid E Dino Millat Imam Ahmed Raza Khan Radiallahu Ta’ala Anhu Farmate Hai. Qaza Namazein Jald Se Jald Ada Karna Laajim Hai.

Na Maalum Kis Waqt Maut Aa Jayein.

Kya Mushkil Hai Ek din Ki 20 Rakat hoti Hai.

(Yaani Fazr ke Farzo ki 2 Rakat Aur zuhar ki 4 Rakat Aur Asar Ki 4 Rakat Magrib ki 3 Rakat Aur Isha ki 7 Rakat 4 Farz Aur 3 witr).

In Namazo ke siwaye tulu, wa gurub, wa Jawal ke (ki jis waqt sajda Haraam hai).

Har waqt ada kar sakta hai.

Aur Ikhtiyaar hai ki pehle Fazr ki sab namazein Ada karle.

Phir zuhar, phir Asar, phir magrib, phir isha ki.

Ya Sab Namazein Saath-Saath ada karta jaayein aur unka aisa hisab lagaye ki takhmina mein baaki na rah jaayein.

Jyaada ho jaayein to haraj nahi aur sab ba’qadr taakat rafta-rafta jald ada karle, kaahili naa karein.

Jab Tak Farz Namazein Zimma par Baaki Rahta Hai Koi Nafl Qabool Nahi Kiya Jaata.

Qaza Namaz ka tarika

Niyat un qaza namazo ki is tarah ho, maslan 100 baar ki Fazr Namaz Qaza hai.

To har baar yoon kahe ki sab se pahle jo fazr mujhse Qaza Huyi.

Har dafa yahi kahein, Yaani ek ada huyi, toh baakiyoon mein jo sab se pehli hai.

Isi tarah zuhar wagairah Namaz mein niyat karein.

Jispar bahut si Namaz-e-qaza ho unke liye Surat-e-Takhfeef aur jald ada hone ki yah hai.

Ki khaali rakato mein bajaaye Alhamdu Sharif ke teena baar Subhan’Allah kahein.

Agar ek baar bhi keh lega, to Farz ada ho jayega.

Neez Tasbeehaat Ruku, wa Sujud mein sirf ek-ek baar Subhanaa Rabbiyal-Azim Aur Subhanaa Rabbiyal-Aala padh lena kaafi hai.

Tashahhud ke baad dono durood Sharif ke bajayein.

Allahumma Salle Ala Saiyyedina Muhammadin wa Aalehi.

Witro mein Bajaye dua e qunoot Rabbig-Feerli kahna kaafi hai.

Tulu e Aftab ke 20 minute baad Aur Gurub e Aaftab se 20 Minutes Qabl Namaz Ada kar sakta Hai.

Usse pehle, ya uske baad najaayez hai.

Har Aisa Shakhs jiske jimma namaze baki hai.

Chuup kar padhe ki Gunah ka Ehlaan Jayez nahi.

Isi Silsila mein Irshad Farmaya.

Agar kisi Shakhs ki jimma 30 ya 40 saal ki Namazein Wajibul-Ada Hai.

Usne Apne in jaruri kamo ke Alawa jinke Bagair gujar nahi karobaar Tarrk kar ke padhna Shuru kiya.

Aur Pakka Irada kar liya ki kal namazein ada karke Aaram lunga.

Aur Farz kijiye Aisi Halat mein Ek Mahina, Ya Ek din hi ke baad uska inteqal ho jaayein.

To Allah Ta’ala Apni Rahmatein Qamila se Uski Sab Namazein Ada kar dega.

Al Malfuz Safa 99,100

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love