Mas’Ala: Pahli 2 Rakato ke qiyaam me Surah E Fatiha Ke baad attahiyat padha Sajda-E-Sahw Wajib hai Aur Surah E Fatiha se pahle padhe to nahi.nn(Aalamgeeri)nnMas’Ala: Peechli Rakato ke kiyaam me attahiyat padha to wajib na huwa. Aur agar Qada-E-Ula me chand baar attahiyat padha Sajda-E-Sahw Wajib ho gaya. (Aalamgeeri)nnMas’Ala: Attahiyat padahna bhool gaya Aur salam pher diya.nnYaad Aaya, To Laut aayein attahiyat padhe Aur Sajda-E-Sahw kare.nnYuhi Agar attahiyat ki jagah Surah E Fatiha padhi Sajda-E-Sahw Wajib ho gaya.nn(Aalamgeeri)nnBahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 45nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????