Witr mein shak huwa ki dusri hai ya teesri, to ab kya hukm hoga namaz ka?

Mas’Ala: Namaz mein Shak huwa ki Mukim hai, ya musafir.

To 4 padhein Aur dusri ke baad Qada Jaruri Hai.

(Aalamgeeri)

Mas’Ala: Witr mein shak huwa ki dusri hai ya teesri, to isme Dua e Qunoot padh kar Qada ke Baad Ek aur padhe Aur is mein bhi Dua e Qunoot padhein Aur Sajda-E-Shaw karein.

(Aalamgeeri)

Mas’Ala: Imam Namaz padh Raha hai.

Dusri mein shak huwa ki Pehli hai, ya dusri, Ya 4thi Aur teesri mein shak huwa Aur muqtadiyoon ki taraf najar ki.

Ki yah khade hoto khada ho jaaun, baithe to baith jaaun.

To inme haraj nahi Aur Sajda-E-Sahw wajib na huwa.

(Aalmgeeri)

Bahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 49,50

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razavi Amjadi

Share your love