Ek Rukn Mein 3 Baar Khujaane Se Namaz Ka Kya Hukm Hai?

Jawab:

MasAla: Ek Rukn Mein 3 Baar Khujane Se Namaz Jaati Rahti Hai.

Yaani Yoon Ki Khuja Kar Haath Hata Liya.

Phir Khujaya, Ya Phir Haath Hata Liya Aur Aisee Hi Phir Kiya Aur Agar Ek Baar Haath Rakh Kar Chand Martaba Harkat Di To, Ek Hi Martaba Khujana Kaha Jayega.

Aalamgeeri Jild 1 Safa 97

Bahar-E-SahariAt Hissa 03

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love