Imam E Azam Ki Nazdik Namaz Me Quran Sharif Ke Tartib Ke Khilaf Kiya Gaya To Kya Hukm Honga

Jawab:nnQuran Sharif Ulta Parhna Yaani Pehli Rekaat Jo Surah Parhi Dosri Me Us Se Pehle Waali Parhi To Ye Makrooh E Tahrimi Hai.nnJaan Boojh Kar Aisa Karne Wala Gunahgar Hoga.nnHadees E Paak Me Hai Ke Jo Quran Sharif Ulta Parhta Hai.nnKya Khauf Nahi Karta Ke Us Ka Dil Ulat Diya Jaaye.nnHaan Agar Bhool Kar Dosri Rekaat Me Us Ke Upar Wali Surah Shuru Kar Di To Ab Hukm Yahi Hai Ke Wahi Parhe Jo Shuru Kiya Hai.nnAl Haasil, Khilaaf E Tarteeb Qiraat Makrooh E Tahrimi Hai.nnMagar Namaz Ho Jaayegi.nn??????????????nKhalifa E Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love