Fajr ke sunnat ki adaigi mein dusri rakat par attahiyat kiya

aur 3ri rakat ke liye khada hogaya aur isi tarah 3ri rakat padhi. Magar douran e 3ri rakat ye yaqeen nahi ke attahiyat kiya tha ya ye 3ri rakat hai?

Phir ye sochkar ke shayad galati hogaya hai.

Sajda e sahw kiya aur namaz mukammal kiya.

Is soorat mein kya hukm hona chahiye.

Jawab:

Agar pehli martaba aisa hua hai to Dobara Namaz parhein.

Warna Jis taraf Gaalib gumaan ho uska etebaar karein.

Yaani agar gaalib gumaan hai ke ye teesri rekat hai to laut jaayein aur sajda e sahw karein.

Aur gaalib gumaan hai ke dosri rekaat hai.

To ise mukammal karein aur akhir mein sajda e sahw karein.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love