Namaz ke dauran Attahiyat ke qaada mein nazar kahan honi chahiye

Aur Ashhadual laailaha illah padte waqt kalme ki ungli ka rukh asman ki taraf karte hai.

Us waqt humari nazar kaha honi chahiye ungli pe ya kahin aur Witr ki teesri rakat mein dua e qunoot se pahle bismilla sharif padna chahiye ya nahi?

Jawab:

Qaa’da ke waqt Nazrein godh ki janib ho.

Aur Shahdat ki ungli asman ki taraf Samajh se baaher hai.

Lafz “laa” par Ungli kuch uthaaye aur “illallah” par gira de.

Dono hatho ko Raano par is tarah rakhe ke unglio ke kinaare ghutno tak ho.

Dua E Qunoot se Pehle Bismillah parhna Zaruri Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love