Umar e Qaza ki Namaz Ada Karna Chata hai Wo Kaise Ada Karein

Jawab:

Bagair uzr e sharai ke namaz qaza kar dena gunah e kabeera hai.

Farz ki qaza farz hai, aur wajib ki qaza wajib.

Qaza ke liye koi waqt moaiyyan nahi, jab bhi umr mein padhna chahe padh sakta hai.

Magar jaldi karni chahiye aur tulu, zawal, ghuroob ke waqt na padhein, ke in waqto mein namaz Jayez nahi.

Jo namaz jaisi chooti wo waise hi padhi jayegi.

Maslan safar mein namaz qaza hui, ab us ko jab bhi padhega qasr hi padhega.

Agarche iqamat (jo ke musafir e sharai na ho) ki halat mein padhein.

Aur jo namaz iqamat ki halat mein qaza hui, wo namaz jab bhi padhega poori padhega.

Agarche safar (92 kilometer ke safar ke irade se apni basti se bahar hua) mein padhein.

Magar qaza padhne ke waqt, gar koi uzr hai.

To us uzr ka lehaz kiya jayega, ke jab qaza hui thi, to khada ho kar namaz padh sakta tha.

Magar ab jab us qaza ko ada karna chahta hai to pair se mazoor hai.

To baith kar hi padhega, ya ishare se padh sakta hai.

To ishare padhega aur sehat hone ke baad i’aadah (Repeat) nahi hai.

Ek ya chand (6 waqt ki namazon se kam) chooti to pahle qaza ko ada karna zaroori hai.

Agar bahot si chooti hain ke use yaad bhi nahi ke kitni chhoti.

To apne baligh hone ke zamane ko yaad karein aur fir gaur karein andaza lagaye ke kitni padhi hogi aur kitni chhooti.

Jo chhootin hain unme se kitni safari hain aur kitni hazari aur fir jitne pe dil jam jaaye usse kuch zyadah padh jaayein.

Tarteeb yeh hogi ke pahle farz Namazein mukammal karein, fir wajib aur ek ek namaz padhta jayein aur niyat qaza ki karein aur mukhtasar andaaz mein padhe ke jaldi jaldi sab ada ho jayein.

Qaza namaz padhne ka mukhtasar tariqa

Har roz ki namaz ki qaza 20 Rekaato ki hoti hai.

Fajr ki 2 rakat farz,

Zohar ki 4 rakat farz,

Asar ki 4 rakat farz,

Maghrib ki 3 rakat farz,

Isha ki 4 rakat farz aur Isha ke 3 Witr.

Qaza mein yu Niyat karni zaruri hai ke Niyat ki Maine pehli Fajr jo Mujhse qaza hui, ya pehli zohar jo mujhse qaza hui.

Isi tarah hamesha har namaz mein kiya karein aur Jis par qaza namaz bahot kasrat se hain wo asani ke liye.

Agar yu bhi ada karein to jaayez hai ke har Ruku aur har sajde mein 3, 3 baar Subhanaa Rabbiyal-Azim Aur Subhanaa Rabbiyal-Aala ki jagah sirf ek baar hi kahein.

Magar ye hamesha har namaz mein yaad rakhna chahiye ke jab Admi pura pahoch jaayein, us waqt Subhanaa Rabbiyal-Azim ka Sub shuru karein aur jab Subhanaa Rabbiyal-Azim ka Azim khatam karein us waqt ruku se sar uthaye.

Isi tarah sajde mein bhi jab pura pahoch jaayein us waqt tasbeeh shuru karein aur jab tasbeeh khatam ho jaaye us waqt sajda se sar uthaye.

Dosri takhfeef ye ke farzo ki teesri aur chauthi rakat mein surah Fatiha ki jagah sirf SubhanaAllah teen baar keh kar ruku mein chale jayein.

Magar wahi khayal zaruri hai ke seedhe khade ho kar tasbeeh shuru karein aur tasbeeh puri khade khade keh kar ruku ke liye sar jhukein.

Ye takhfeef sirf farzo ki teesri aur chauthi rakat mein hai.

Witro ki teeno rakaato mein Surah Fatiha aur Surah dono zaruri parhi jaayein.

Teesri takhfeef ye ke pichli Attahiyat ke baad dono duroodo aur dua ki jagah sirf “Allahummah Sallehalla Muhammad” Keh kar salam pher dein.

Chauthi takhfeef witro ki teesri rakat mein dua e qunoot ki jagah “Allahuakbar” keh kar sirf “Allahhumagfirli” kahein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love